Cabin Crew Kaise bane ? Kitna Paisa Kama Sakte Hai ?

Hello Dosto , Kya aap bhi ik Cabin Crew Aspirant hai ? Kya aap bhi Alag alag jagah par ghumkar duniya dekhna or sath me Paisa Kamana Chahte Hai ? To yeh article aap ke liye bahut laabhdayak hai. High School complete karne ke baad sab kuch na kuch karna chahte hai Kuch log aage ki padhai ke liye sochte hai to kucj apna career or paisa kamane ke liye raah Chunte hai.

Cabin Crew Kaise bane ? Kitna Paisa Kama Sakte Hai ?

Agar aap bhi unme se ik hai to Chaliye Shuru Karte hai 🙂

Cabin Crew Kaise Bane in Hindi

Sabse Pehle apko yeh jaankari honi Chayie ki Cabin Crew ke liye Kya Kya Hona Chayie or Cabin Crew ka kaam Kya hota hai or agar aap india me cabin crew join karte hai to aap kitna paisa kama sakte hai.

Dosto Cabin Crew Banne ke liye Kuch Requirements hoti hai. Requirements alag alag locations or alag alag airlines ke mutabit Hoti hai lekin inme jyada farak nahi hota kuch Common Cabin Crew Requirements honi Chayie jaise ki

1. High School Pass

Sabse Pehle or Sabse Pehli Requirement hai apka High School Pass Hona yani ki 12th Standard. Isme aapke marks jyada matter nahi karte agar aapke 50% Marks hai Tab Bhi aap Cabin Crew Ban Sakte hai or agar marks 90% tab bhi Ban sakte hai.

2. Age

High School Minimum education criteria hai usje baad aata hai Apko umar ( age ). Apki age 18 Saal se aadhik honi chayie yeh Minimum age requirement hoti hai. Kisi kisi airlines me minimum age 21 hoti hai lekin india me aap 18 ki Age ke baad cabin crew ke liye Join Kar Sakte hai.

3. language

Indian me Cabin Crew ban ne e liye apko Hindi and English Aana bahut jaruri hai. Agar Aap Cabin Crew Ban na chahte hai to apko Hindi & English Speaking or Writing dono me acha hona padega. English and Hindi Language hi interview me Apka Selection ya Rejection karegi.

Cabin Crew Bankar Kitna paisa kama Sakte hai ?

Aap sab ke dimag me ab yeh Question hoga ki aakhi Cabin Crew Bankar Kitna Paisa kamaya ja sakta hai ? Agar mai 12th Class ke baad cabin crew banti hu ya Banta hu to meri Starting Salary Kitni Hogi ?

To aapko yeh jaan kar Khushi Hogi ki aapki starting Salary 30k se Upar hi Hogi. 3o Thousand minimum salary hai agar aap india me kisi bhi airlines me cabin crew ban jate hai to apko starting me iss se jyada hi salary milegi. 12th Class ke baad agar aap koi high salary wali nokri hai to woh Cabin Crew ki nokri hi hai.

Cabin Crew Ke liye Apply Kaise Kare ?

Dosto aapko Bahut Dhayna rakhna hoga ki aap kisi Genuine site ya Airlines ki official site se hi cabin crew ke liye apply kare taki aap hone wle kisi bhi fraud se bach sake or aapki sari details safe rahe.

Aap Cabin Crew ke liye Online applications submit kar sakte hai iske liye aapko Airlines ke Carer page par updated Rehna Hoga taki jaise hi koi Company Airlines me Cabin Crew ki Job Nikale toh aapko pata chal jaye or aap Ending date se pehle hi apni Application Submit karde.

Aap Bina Applications Submit kiye hue bhi Cabin Crew ke interview ke liye ja sakte hai but iske liye bhi aapko sahi jaankari honi chayie jaise ki Timing , Documents Required and venue of interview. Isko walk-in-interviews bhi kaha jata hai.

Latest Jobs Dekhne ke liye aap Airlinesalerts.com jaa sakte hai.

India me Cabin Crew ke liye Best Airlines Konsi Hai ?

Waise to Sabhi Airlines india me Achi hai lekin aapko top Airlines me Cabin Crew ban ne ke liye Zaroor try krna chayie aap niche di gayi Airlines me Try Kare

  1. Air India
  2. Indigo
  3. SpiceJet
  4. Go Air
  5. EasyJet

Agar Aapk Kisi Bhi Type ka Doubt hai to Aap Niche Comment kar sakte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *